Pal, do pal, ki hi kyun hai zindagi, Iss, pyar, 
ko hai sadiyaan kaafi nahi
Toh khuda se maang lun, Mohalat main ek nayi
Rehna hai bas yahaan, Ab door tujhse jaana nahi...
Jo tu mera humdard hai, Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai, Jo tu mera humdard hai

Teri muskurahatein hain taaqat meri, Mujhko inhi se ummeed mili
Chaahe kare koi sitam ye jahaan, Inme hi hai sadaa hifaazat meri
Zindagani badi khoobsurat hui, Jannat ab aur kya hogi kahin..
Jo tu mera Humdard hai, Jo tu mera Humdard hai.
Suhaana har dard hai, Jo tu mera Humdard hai.........

Woooo..............

Teri dhadkano se hai zindagi meri,
 Khwahishein teri ab duaaein meri
Kitna anokha bandhan hai ye, 
Teri meri jaan jo ek hui
Lotunga yahaan tere paas main haan, 
Waada hai mera mar bhi jaaun kahin
Jo tu mera humdard hai, Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai, Jo tu mera humdard hai

hmmm.. humdard hai..x3...

0 comments Blogger 0 Facebook

 
Hindi Lyrics Video © 2013. All Rights Reserved. Share on Themes24x7. Powered by Blogger
Top