Jise zindagi dhoondh rahi hai, Kya ye woh makaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun, Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain, Jaane kya asar ye huaa hai
Ik aas mili phir mujhko, Jo kubool kisi ne kiya hai

Haan..
Kisi shaayar ki ghazal, Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjaare ko ghar
Main mausam ki sehar, Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjare ko ghar
Hmm...
Jaise koi kinaara, Deta ho sahaara..
Mujhe wo mila kisi mod par, Koi raat ka taara
Karta ho ujaala, Waise hi roshan kare woh shehar..

Dard mere woh bhula hi gayaa, Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe woh phir se woh sikha raha
Hmm.. ....
Jaise baarish kar de tar, Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjare ko ghar
Main mausam ki sehar, Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra, Deta hai jo pehraa
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usey phir kyun
Mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya hai iraada tera

Main parinda besabar, Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjarey ko ghar
Main mausam ki sehar, Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, Jaise banjarey ko ghar

Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
 Jaise banjare ko ghar..
 Jaise banjare ko ghar...
 Jaise banjare ko ghar....

0 comments Blogger 0 Facebook

 
Hindi Lyrics Video © 2013. All Rights Reserved. Share on Themes24x7. Powered by Blogger
Top